ptc saharanpur

ptc saharanpur

Saturday, February 20, 2016

Yaad Aaenge Ye Pal Kabhi Na Kabhi..

Teen Mahine Ka Yaarana, Thand Mai Yoga Na Jaana...
Muskuraoge Tum Soch Kar Jab Bhi,
Tab Yaad Aaenge Ye Pal Kabhi Na Kabhi...


Likhoge Jab Lambi-Lambi IRs,
Number One,Gupta Sir Ki Classes  Aengi Yaad...
Aaengi Dhero IO-PO Enquiries Jab Bhi,
Yaad Aaenge Gupta Sir Kabhi Na Kabhi...


RMS Mai Jaoge to Halwa Khaana Na Bhoolna,
Section Mai Visit Karte, Apna Bistar Le Jaana Na Bhoolna...
Rupaye Se Lekar Koddi Ka Hua Ab Humein Gyan, Khotte Sikke Dekhoge Tum Jab Bhi,
Yaad Aaenge Humein Gupta Sir Kabhi Na Kabhi....



Aa Sakti Hai Pareshaniya Aane Wale Samay Mai,
Mushkil Lamho Mai Tum Kabhi Ghabrana Nahi, Ittu Si To Hai Yeh Zindagi,
Aakhir Tum Bhi To Mai Hu Or Mai Bhi To Tum Hu, Kya Abhi Tak Tumne Ye Pehchana Nahi ?
Hoga Saamna Zindagi Mai Kisi Gair Se Jab Bhi, Yaad Aaenge Chanda Sir Humein Kabhi Na Kabhi....


Aaate Rahenge Bahut Se Projects Department Mai, Par Project Arrow Jaisa Aaega Na Kabhi...
To Get The Core Right & Modernize Look and Feel, Bataega Kya Rao Sir K Alawa Humein Koi Kabhi ??
Ye Bhi Ek Aspect Hai Humein Jaana Hai In Yaadon Ke Saath, Koshish Karne Par Bhi Na Bhool Paoge Project Arrow Ke Silos Kabhi, Rag Rag Mai Doorta Hai Ab Project Arrow, Ab Ye Humein Bhool Paega Na Kabhi.....


Koshish To Bahut Ki PTC Ne Humein Behlane Ki, Kabhi DTS to Kabhi Computer Classes Mai Uljhane Ki...
BO, SO, Section Bhi Visit Karwaya, Sach Batana Mere Dost Kya Kuch Bhi Samajh Mai Aaya ?
Bunkar Sir Ne Humein Ye Sach Bataya, Koshish To Bahut Ki, Par PTC Humein Samjha Na Paaya...


Safalta Tumare Kadam Choomein, Yahi Dua Karenge Hum Rab Se...
Proud Nahi Modesty Se Jeena Hai Ab Se..
Share Karte Rehna Mere Dost WhatsApp Par Humesha Sabhi, Taaki Yaad Aate Rahe Ye Meethe Pal Humein Kabhi Na Kabhi...

Thursday, October 2, 2008

ptc anniversary...

Meri 2nd self written....., give ur views..How do u like it..???

Aa rahi hai yaadein un haseen palon ki,
kyonki aj hain pehla din PTC main jaane ko...
jaldi se taiyar ho jao bhai,sir taiyar khade hai ghanti bajane ko......

Maana ki pehla week tha boring vahan dil lagane ko,
aj fir vahi din aaya hai tume ye batane ko,
ki koi SANJAY bi mila tha tumse dosti ka haat badane ko.....

Mulakat hui thi aj k hi din tumse,
agar na hoti to shayad badiya hota,
kam se kam yaad na aati apki humein rulane ko......

Humne to sirf apna farz nibhaya hai tume ye batane ko,
ki vahi din aa rahe hai fir tume hasane ko,
vo haste din bi yaad karoge to rona aega,kyonki din the aise jo mushkil hai vapis aane ko....

Ro lo dil khol kar aaj, yaad karke un haseen palon ko,
varna aegi ik din yaad itni ki dil karega tumhara,apne hi ansuon main doob jaane ko...

Socha nahi tha ki tum itni jaldi bhool jaoge,isiliye to humne likhi thi "KAISE BHULAOGE"
itni jaldi dosti bhula di humari,abhi to pehli anniversity hi hai aane ko.....

Bhula donga main bi tumko ik shart par, bus ik bar keh do is jamane ko,
vo dosti thi jhoothi, jhoothey the vaade sirf man behlane ko...

HAPPY PTC ANNIVERSITY15-05-2007

Saturday, March 15, 2008

kaise bhulaoge

kaise bhulaoge kab janma aur kab simat gaya wo sansaar,
shuru aur ant ka tha ek hi dwar,
dhai mahine ki alag si jindagi ka ek alag sansaar,
PTC tha uska naam....
KAISE BHULAOGE, KAISE BHULAOGE MERE YAAR!!!!!

Yogasan mein na jaana,
bahut mushkil se naha kar class mein jaana,
class mein sona aur shramdan ke waqt rona....
KAISE BHULAOGE, KAISE BHULAOGE MERE YAAR !!!

Roj Roj ka ek hi rona, kisi chutti ka na hona,
sunday ko jee bhar ke sona, baad mein hafte bhar ke kapde dhona...
KAISE BHULAOGE, KAISE BHULAOGE MERE YAAR !!!

Subeh lse lekar sham tak ghantiyon nein jeena kiya dushwaar,
mess ka khana, der se jaana aur khate waqt shoor machana,
jaldi jaldi khana aur phir sair ko jaana,
ghanti ka bajna aur kamron mein jaana,
masti karna aur shoor machana...
KAISE BHULAOGE, KAISE BHULAOGE MERE YAAR !!!!

Kabhi kabhi tour par jaana haste haste jaana,a rote rote aana,
Ptc ki antim shaam aur mere janamdin ka mujhe inam,
apne dosto ko aur humari dosti ko....
KAISE BHULAOGE, KAISE BHULAOGE MERE YAAR !!!

Shilpi, Swati ki woh skit jisme Seema thi superhit,
Bhool jaaoge humein , humari dosti aur tarane ko,
lekin kaise bhulao ge humari dosti ke gaane ko...
BATAO MERE DOST KAISE BHULAOGE !!!

Kaise bhuloage kaise bhulaoge dost !!!!!!

Wednesday, July 25, 2007

hi friends

hi ptcians here is a matter of great discussion i think,

we all, i think, after having a training at ptc for induction batch

all get separated, thats true ki separation n meetings are part n parcel

of life but dont u think that we should at least once meet after training

some people says it will effect our deptt work but m to ask them when

we were not here, then wt was doing ur deptt, yar for a weak, i think there

should be a training of all batchmates after a year just, for once i think is

enough,kaye bar hota hai kuch batein, vade, reh jate jine pura kiya jja sake, i will be happy to see ur reply.........

thanks..